Hi.. friends , this is ram niwas meena from jaipur, i don’t know very well English ,i can’t write every sentence in English so i m writing biography in hindi. ….
Sabse pahle dhanywad dena chahunga tisa group or Senior management ko jinki wajh se ye workshop or biography likhne kaa mauka diya, me bachapan se hi haklata hu. Mere father government service me udc he, mummy housewife he or 1 brother or 1 sister he. Me bachpan se class 3rd se 12th tak hostel me rha hu. .muje padhai me jyada interest nhi he muje reservation milta h lekin government job me interest nhi he. Hostel me rahne k baad kuch saal 2-3 year ghar par or phir uske baad wapis ghar se baahr jaipur aagya job krne k liye. .bachpan se problem thi haklane ki to har jagh jese school yaa khi bhi bolne me problem hoti thi. .jess school me oral exam me yaa classroom me answer maalum hone par bhi jawab nhi diya jaata. .man me ghabraahat hoti h ki saayad ab me haklaaunga. ..jese jess umr bhadhti gyi haklahat bhi jyaada hui or kbhi kam bhi hui. ..abhi k time me normally confidence kam hota he to haklahat badh jaati he. .or me full confidence or jyada happy rahta hu tab haklahat bahoot kam Ho jaati he. ..magr bachpan me to confidence kya hota h ye bhi ni jaante the phir bhi haklata tha..magr ab ye samaj me aagya ki serious problem to he magr problem solve bhi krskte he. …i also believe in God. ..bhagwan ne sabko alag alag type ki problem Di he. ..mgr apn k upr depend krta h ki apn usko kitna problem samjte h or uske liye kya kya krskte he. ..me abhi last 8 years se jaipur me hi survey kaa work krta hu as a freelancer .daily logo se baat krna hota he. ..logo se feedback or opinions lena hota he. ..abhi tak koi khaas problem nhi hoti thi kyu ki me confidence or happy hokr kaam krta hu. .kbhi kbhi atak jaata hu mgr usse jyada koi khaas fark ni padta. ..or samne wala bhi samaj jaata he. …..magr last 6 months se meri stammering ki problem bahoot jyada badh gyi he. .kaam jo me krta hu survey kaa wo to Ho jaata h mgr abhi jyaada atakne lg gya hu. …or me akele me gaana gaata hu yaa baat krta hu tab bilkul nhi haklata hu. .or friends k sath hota hu tab kam Ho jaata h haklana.. or last me ye btana chahta meri hobbies k baare me ki muje travelling, listening songs, knowledge lena acha lgta h. ….or last me yhi kahnaa chaahunga 1 life he so enjoy. .i m happy. ..aap bhi khush rho …okay friends thanks for reading my story. … ram niwas meena, jaipur