My time spent to speech therapist . Zeshan…

Hi Guys..

I am zeshan From Pakistan….
Me 16 Years ka hoon. jab me 8 years ka tha to mere parents mujhay speech therapist ke paas le ke gaye. yahaan Lahore me bohat bara Govt ka Hospital hai Children Hospital. mujhay wahaan dikhaya gaya. us waqt mujhay kuch nai pata tha is liye jo wo kahtin me karta tha. wahaan mujhay sirf 10-15 mint time diya jata tha or sirf aik lady doctor thin. me wahaan 6 years jata raha mager koi farq nai para meri stammering pe. jab mujhay pata chala ke yahaan koi faida nai ho ga to me ne wahaan jana choor diya..
wahan doctor mujhay kahtin thin ke aap 1 breath me 1 word bolain or aise wo 5-6 lines mujha se book me se pherwatin thin. or mujhay yehi practice batai gai ke me gher me har roz day me 3 times kia karoon. me ne koshis ki mager mujh se nai hoti thi. phir tung aa ke me ne hospital jana or practice karni chor di.
us ke baad mere parents ne mujhay aik or hospital me dikhaya. mager wahaan koi khas intazaam nai tha stammering ka is liye me wahan sirf aik baar gaya us ke baad wahaan bhi nai gaya.
phir us ke baad me kahin bhi nai gaya or me gher hi me koshish karta raha mager koi farq nai para. farq kai pare ga me or zayada stammering karne laga.
phir me ne youtube pe Sir Sachin ki video dekhi to me ne koi 2-3 month ke baad me ne aise hi un ko youtube hi pe mail kar di.. sir ka reply aa gaya. me bohat khush hua. me ne apni mother ko bataya wo bhi bohat khush huin. us ke baad me ni sir sachin se skype pe baat ki Video. to sir ne mujhay kafi teach kia.
unhoon ne mujhay 2 methods bataye 1. bouncing technique 2. prolongation technique. in techniques ke istamal ke baad mujhay kafi farq para. mujh me confidence bhi aaya ke stammering ko buri baat nahi hai..
Ok Bye…

Post Author: Harish Usgaonker

4 thoughts on “My time spent to speech therapist . Zeshan…

    Sachin

    (September 19, 2010 - 8:59 am)

    Zishan, Bahut Acchha! Asli baat to bas yehi hai- Haklana, na koi zurm, na gunaah. Ye yekin ho jaane ke bad hamara dil aur hamari juban dono halke ho jaate hain..
    Magar, asli home work to ab shuru hua hai..
    sachin

    admin

    (September 20, 2010 - 7:00 am)

    Great Zeshan, keep it up.
    Thanks Sachin.

    admin

    (September 20, 2010 - 7:39 am)

    Bahut badiya, Zishan! Kal aap se baat karke kafi acha laga 🙂

    admin

    (September 21, 2010 - 6:47 am)

    Hi,Zeshan.
    Thanks for sharing.

Comments are closed.