Jagdish Mewada’s story – delhi workshop biography challenge

jagdiah mewda: good evening friends… first of all i m  so sorry for writing my biography so late. it is because of  my busy job time.. i m also can’t write every sentence in English so i m writing biography in hindi…….. mera nam jagdish Mewada hai. me proper shajapur mp ka rahne wala hu..  me pichle 6 salo se railway mail service me sorting Assistant ki post par bhopal me karyarat hu…
mujhe bhi ek haklahat se pidit vyakti ki tarah  hi kai problem ka samna karna pada..me jab clg me padta tha to teacher jab mera nam puchtey the to kewal jjjjjjjjj….. jajaa hi muh se niklta tha. kabhi kabhi to vo jitendra hi samajh lete the. kabhi kabhi ladkiya hi mera nam batati thi… lekin meri stamering jwada nahi thi. esi karan mene apni life ke ve sabhi kam kiye hai jo ek normal person karta hai. me karib 8 sal ka tha jab se hi haklta hu. mene clg me bahut ankering (manch sanchalan)  bhi kiya hai. me NCC me bhi raha hu. REPUBLIC DAY pared raj path delhi 2008 bhi atend kiya hu… job me haklahat se kabhi kabhi dikkat hoti hai… me ye work shop attend karne ke liye bahut utsuk hu…. vese me har 5 ve din gt expres me  duty me new delhi aata hu… aage bahut likhne ko hai…… baki aap sab jantey hi hai… jagdish mewada bhopal.

Post Author: Raman Maan

I'm fear killer

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *