Hello,Sachin sir and all my TISA family.
Mera naam Akshay Rawal hai.filhal me Coimbatore me reh raha hu,par uske pehle me Surat shg Ka coordinator tha.
TISA se Jude aaj mujhe dhai saal ho Gaye hai.kaafi badlav hai abhi,aur aage bhi aate rahege.khub dino se vichar kar raha tha ki mere baare me Kuch share Karu yahan par.jo ki wo time mujhe aaj mil hi Gaya.
Aaj bhi mein darta hu kahin jagah par baat Karne me ya technique use Karne me jaise ki agar girls Ka group hai ya mere mamaji ke samne partiyo se baat Karni ho ya mere gharwalo ke samne hamare reletives se baat karni ho.par iske alava aaj mere me itni himmat aa gayi hai ki,aaj me aisa koi bhi kaam Nahi karta hu ki jisme mujhe meri haklahat ko chupana ho,Jo techniques mene sikhi hai TISA se ab vah meri aadat ban rahi hai.uska use me apne family members ke sath,dosto ke sath,bahar use Kar raha hu.kyuki ab agar me technique se baat na Karu toh mujhe khud satisfy nahi milta hai.
Jo banda pehle logo ki help Karne se darta tha ya katrata tha ya mana kehta tha,aaj vah logo ki help karta hai aur aise mene Kahi mauko par apna involvement diya hai.bahut se positive change aaye hai.Mene collage ke teen Saal pure kiye hai,jisme me pehle ke do saalo me,mein collage me bahut hi Kam bolta tha, attitudes rakhta tha,logo ke bulane par bhi me baat nahi karta tha,par last year me mene apne aap me change lane ki koshish ki hai. Jaise ki Mene do se teen activitys me participants Kiya,medal toh nahi mila par mere Ander Jo dar tha uss chiz Ka vah dur ho gaya.jo ki acchi baat thi mere iss safar ke liye.do saalo me Mene Kabhi bhi girls se baat nahi ki par last year me mene baat Karna chalu kiya.unse help bhi mangta tha.vah karte bhi the.Jisse aaj mere kuch acche friends bhi ban gaye hai.mere saare class teacher ko pata chal gaya tha meri haklahat ke baare.
Mene TISA MOOC-2 me bhi participate Kiya tha,jisme mene apna Pura best diya tha.AKSHAY RAWAL Karke YouTube pe Mera channel bhi banaya hai jispe me apna video upload karta rehta hu.uska maksad ek hi hai ki meri inner feeling hai usko express Karu.
Abhi me Coimbatore me self help group banana chahta hu.koshish Kar Raha hu ki yahan par bhi sabse accha shg organise ho.
2 thoughts on “Meri Zindagi badal rahi hai…..”
satyendra srivastava
(November 5, 2018 - 9:34 pm)Padh ke bahut accha laga.. akshay, aise hi aur bhi likhte raho.. yahi acceptance hai, yahi cure hai, yahi practice hai aur yahi manjil bhi…
Amitsingh Kushwaha
(November 6, 2018 - 12:34 pm)बहुत सुंदर अक्षय जी. जीवन में हमेशा बदलाव की शुरुआत खुद से ही होती है. हकलाने के मामले में भी ऐसा ही है.